Ban Ker Faqeer Jao

By Shujahat

Ban ker faqeer jao, Sarkaar (S.A.W.W) ki galli may
Dil ki muraad pao, Sarkaar (S.A.W.W) ki galli may

Aisa kareem (S.A.W.W) koi tujh ko na phir millay ga
Baithay raho gadao, Sarkaar (S.A.W.W) ki galli may

Jannat may rehnay waali, huurou say koi keh day
Aik tum bhi ghar banao, Sarkaar (S.A.W.W) ki galli may

Kis kis ko may bataou, khud ja kay koi daikhay
Jannat ka der khulla hay, Sarkaar (S.A.W.W) ki galli may

0
Your rating: None