Chhoarr fikr dunya ki
October 25, 2009
Chhoarr fikr dunya ki chal madinay chaltay heyn
Mustafa ghulamon ki qismatayn badaltay heyn
Naqsh kar lay seenay par naam sarwaray deen ka
Yay wo naam he jiss say sab azaab ttaltay heyn
Sirf saari dunya mayn wo heyn kucha-ay ahmad
Jiss jaga bhi ham jesay khhotay seekay chaltay heyn
Aamina kay paalay ka kali kamli walay ka
Jashn ham manatay heyn jalnay walay jaltay heyn
Ham ko roaz milta he sadqa kamli walay ka
Mustafa kay ttukron par khush naseeb paltay heyn
Rahmaton kay sa-ay mayn saatth saatth chaltay heyn
Mustafa kay deevanay ghhar say jab nikaltay heyn
Naat e mustafa sunn kar aag sard hoti he
Zikr e mustafa sunn kar sangay dil pigaltay heyn
- Login to post comments

Recent comments
1 year 5 weeks ago
1 year 15 weeks ago
1 year 20 weeks ago
1 year 20 weeks ago
1 year 25 weeks ago
1 year 25 weeks ago
1 year 48 weeks ago
2 years 4 days ago
2 years 4 weeks ago
2 years 9 weeks ago