Ho Gaey Bazme Jahan Mey Khwaar Ham

By Shujahat

Ho gaey bazme jahan mey khwaar ham

chahthay hai ik nazar Sarkar ham

Ham buray hai ya balay jeysay bhi hai, aap key hai aey Shahe Abrar ham

kasthi milath bhanwar main phans gaee, Ya Rasulullah uthray paar ham

Ab tho qismath mey andheyrey reh gaey, roshni key thay kabhi minaar ham

ley gaey kirdar ki dolath aduw, ab hai khaali saahibe gafthaar ham

aasi-wo-khaathi sahi leykin Hazoor, Aap ki ulfath say hai sarshaar ham

ab na khali haath lowtein Ya Nabi, ho gaey hain haazre darbaar ham

Ho gaey bazme jahan mey khwaar ham

chahthay hai ik nazar Sarkar ham

0
Your rating: None