Jagaa Do Meri Qismat Bhi
November 02, 2009
Jagaa do meri qismat bhi khudara Ya Rasulullah
Dikhado mujh ko rozah ka nazarah Ya Rasulullah
Meri duniya sanwar jaey meri 'uqba sadhar jaey
Agar ho jaey Rahmat ka isharah Ya Rasulullah
Tumahara naam-e-naami hai sukoon-e-qalb ka ba'is
Nazar ka noor hai rozah tumhara Ya Rasulullah
Zamanah choot jaey ruth jaey khalq to kya gham
Na choote haath sey daman tumharah Ya Rasulullah
Jabeen-e-showq mas hoti hai jab rowzah ki jaali sey
Chamak jata hai qismat ka sitarah Ya Rasulullah
Tamana-e-Sikandar hai dam-e-aakhar Shah-e-Bat-ha
Rahey wird-e-zuban kalmah tumhara Ya Rasulullah
- Login to post comments

Recent comments
1 year 20 weeks ago
1 year 30 weeks ago
1 year 34 weeks ago
1 year 35 weeks ago
1 year 39 weeks ago
1 year 39 weeks ago
2 years 10 weeks ago
2 years 15 weeks ago
2 years 18 weeks ago
2 years 24 weeks ago