Kaabay Kay Dar Kay Saamnay Mangi Hai Dua Faqat
Ka'abay Kay Dar Kay Saamnay Maangee Hai Ye Dua Faqat
Haathon Mein Hashar Tak Rahay Daaman-e-Mustafa Faqat
Apnay Karam Say Ae Khuda Ishq-e-Rasool Kar Ataa
Aakhree Dum Subaan Pay Ho Sallay A'la Sadaa Faqat
Tayba Kee Sayr Ko Chalein Qadmon Mein Unki Jaan Dein
Duffan Hoon Unkay Shehar Mein Hai Yehee Iltija Faqat
Duniya Kee Saari Ne'ymatein Meri Nazar Mein Hainch Hoon
Rakhnay Ko Sar Pay Gar Milay Na'lein-e-Mustafa Faqat
Munkar Nakeer Qabar Mein Hum Say Sawaal Jab Karein
Aisay Mein Wird Hum Rakhein Aap Kay Naam Ka Faqat
Naza'a Kay Waqt Jab Meri Saanson Mein Intishaar Ho
Meri Nazar Kay Saamnay Gumbad Ho Woh Hara Faqat
Na'at-e-Rasool-e-Paak Hai Nazmi Ka Maqsad-e-Hayaat
Qabr Mein Bhi Laboon Pay Ho Sarkaar Kee Sana Faqat
Written By : Syed Aley Rasool Husnain Miya NAZMI Mahrervi Barkaati
Posted By : Naqee Ahmed Barkaati
- Login to post comments

Recent comments
1 year 20 weeks ago
1 year 30 weeks ago
1 year 34 weeks ago
1 year 35 weeks ago
1 year 39 weeks ago
1 year 39 weeks ago
2 years 10 weeks ago
2 years 15 weeks ago
2 years 18 weeks ago
2 years 24 weeks ago