Karbala Ki Hai Yaad Aai
November 02, 2009
Karbala ki hai yaad aai, ab aashk bahaaney do
suey huey pehlu mein sab dard jagaaney do
Sughra sey kahaa Shah ney, mat rokow mujhay beyti
Deen lutatha hai Nana ka sar dey key bachaaney do
Akbar ki shahadat par Sakeenah sey kahaa Shah ney
armaan ka yeh lashaah mujh ko hi lutaney do
Qur'an mera dil hai Qur'an ki mein jaan hun
Qur'an ko neyzay par Qur'an sunaaney do
Fatimat-uz-Zahrah ka hai doodh piya mein ney
is doodh ki Karbal mein ab laaj nibhaaney do
- Login to post comments

Recent comments
1 year 5 weeks ago
1 year 15 weeks ago
1 year 20 weeks ago
1 year 20 weeks ago
1 year 25 weeks ago
1 year 25 weeks ago
1 year 48 weeks ago
2 years 4 days ago
2 years 4 weeks ago
2 years 9 weeks ago