Khuda Ka Ziker Karay
Khuda ka ziker karay, zikr-e-mustafa na karay, (x 3)
Hamaray moonh main woh aisi zubaan khuda na karay! (x 2)
Darr-e-Rasool pe aisa kabhi nahi dekha, (x 2)
Koi sawaal karay aur WOH ata'a na karay! (x 2)
Madina ja ke nikalna na shehar seh bahir, (x 2)
Khuda na khwasta yeh zindagi wafa na karay! (x 2)
Nabi ke qadmoun pe jis dum ghulam ka sir ho, (x 2)
Kaza'a seh kehdo ke ik lamha bhi kaza'a na karay! (x 2)
Aseer jis ko bana kar rakhein madinay main, (x 2)
Tamaam umar rihayi ki woh dua'a na karay! (x 2)
Kaha KHUDA ne shifa'at ki baat mehshar main, (x 2)
Pehal habib karay koi doosra na karay! (x 2)
Shaoor-e-Naat bhi ho aur zubaan bhi ho adeeb, (x 2)
Woh aadmi nahi jo innka haqq ada'a na karay! (x 2)
KHUDA ka zikar karay, zikr-e-Mustafa na karay,
Hamare moonh main woh aisi zubaan khuda na karay
- Login to post comments

Recent comments
1 year 20 weeks ago
1 year 30 weeks ago
1 year 34 weeks ago
1 year 35 weeks ago
1 year 39 weeks ago
1 year 39 weeks ago
2 years 10 weeks ago
2 years 15 weeks ago
2 years 18 weeks ago
2 years 24 weeks ago