Mera dil aur meri jaan Madinay waley

By Shujahat

Mera dil aur meri jaan Madinay waley

Tujh peh sow jaan sey qurbaan Madinay waley

Bhar dey bhar dey meray Aqa meri jholi bhar dey

ab na rukh bey sar-o-samaan Madinay waley

Tera dar chowr kai jaaun tho kahan jaaun mein

meray Aqa meray Sultaan Madinay waley

Phir thamanaey ziyarath ney kiya dil beychaeyn

phir Madinay ka hai armaan Madinay waley

Sabz Ghunbad ki fazaaon mey bula lo mujh ko

tera ghaafil hei pareeshan Madinay waley

Likh dey likh dey meri qismat mey Madinay likh dey

hai teri milk qalamdaan Madinay waley

Sag-e-Taibah mujhay sab kahe key pukaray Baydam

yahi rakhein meri pehchaan Madinay waley

0
Your rating: None