Nabi Kay Ishq Nay Jis Ko Haseen Banaaya Hay

By Shujahat

Nabi (S.A.W) kay ishq nay jis ko haseen banaaya hay
Wohi Fareed, Wohi Data ban kay aaya hay

Nabi (S.A.W.W) kay ishq nay

Jahaa kahee bhi kadam maira dagmagaaya hay
Sahaara denay karam Aapka (S.A.W.W) he aaya hay

Nabi (S.A.W.W) kay ishq nay

Sata sakkay gee na humko ye garmiy-e-Mehsher
Hamaaray ser pay Habeebay KHUDA (S.A.W.W) ka saaya hay

Nabi (S.A.W.W) kay ishq nay

Issi tamanna may jeeta hoo koi ye keh day Ya RASOOLALLAH (S.A.W)
Challo challo tumhay Sarkaar (S.A.W) nay bulaaya hay

Nabi (S.A.W.W) kay ishq nay

Bura samajh kay jahaan nay jo tak diya jiss ko
Tairey (S.A.W.W) karam nay ussay bhi gallay lagaaya hay

Nabi (S.A.W.W) kay ishq nay

Farishtay aatay hain rehmat kay uss kay ghar jiss nay
Tumhari zikr ki mehfil say ghar sajaaya hay

Nabi (S.A.W) kay ishq nay

Jo sang kha kay bhi ta'if may muskuraaya hay
Wo koi aur nahi Aamna (R.A) ka jaaya hay

Nabi (S.A.W) kay ishq nay

Ghammay Habeebay KHUDA (S.A.W.W) nay jissay nawaaz diya
Aleem aalamay gham may bhi muskuraaya hay

Nabi (S.A.W.W) kay ishq nay jis ko haseen banaaya hay
Wohi Fareed, Wohi Data ban kay aaya hay

0
Your rating: None